Sun Mere HumSafar Lyrics


Badrinath Ki Dulhaniya

Song By:-Akhil Nasha

Sun mere humsafar

Kya tujhe itni si bhi khabar
Sun mere humsafar
Kya tujhe itni si bhi khabar
Ki teri saansein chalti jidhar
Rahunga bas wahin umrr bhar
Rahunga bas wahin umrr bhar, haaye
Jitni haseen ye mulakatein hain
Unse bhi pyari teri baatein hain
Baaton mein teri jo kho jaate hain
Aaun na hosh mein main kabhi
Baahon mein hai teri zindagi, haaye
Sun mere humsafar
Kya tujhe itni si bhi khabar
Zaalima tere ishq  main
Ho gayi aa kaml haaye
Main toh yun khada
Kis soch mein pada tha
Kaise jee raha tha main deewana
Chhup ke se aake tune
Dil mein samaa ke tune
Chhed diya kaisa ye fasaana
O… muskurana bhi tujhi se seekha hai
Dil lagane ka tu hi tareeka hai
Aitbaar bhi tujhi se hota hai
Aaun na hosh mein main kabhi
Baahon mein hai teri zindagi haaye
Hai nahi tha pata
Ke tujhe maan lunga Khuda
Ki teri galiyon mein iss qadar
Aaunga ab har pehar
Sun mere humsafar
Kya tujhe itni si bhi khabar
Ki teri saansein chalti jidhar
Rahunga bas wahin umrr bhar
Rahunga bas wahin umrr bhar